MOMIN KHAWATEEN KE KARAMATH(Roman Urdu)

MOMIN KHAWATEEN KE KARAMATH
Taught by:
SHAYKH NOORUDDEEN UMRI HAFIZAHULLAH
Lecture 1:
Is Topic ku select karne ki wajah:
• Inqilab ka zaria khawateen hain
• Khawateen agar islah karna shuru karde tho sara muashira islah hojayega.
Aur bhi bahut kuch wajah hain
Karamath aur muajzah me farq:
Muajzah:
Ye sir aur sirf Ambiya alaihissalam ke liye khas hai (aisa kaam jo aam insaan nahi karsakte)
Ambiya alaihissalam ku bhi Muajzah tabhi milta hai jab Allah chahe
Example:
Musa alaihissalam ka muajzah, Isa alhamdulillah ka muajzah, Ibrahim alaihissalam ka muajzah, Mohammed sallallahu alaihissalam ka muajzah.
Karamath :
Allah ke Neik bandon ke liye hota hai. (Allah chahe).
Sarah alaihassalam ke karamath:
Sarah Alaihassalam :
🟢 Ibrahim alaihissalam ki Biwi (wife)
(Hum log din me 30 ya 60 martabah Ibrahim alaihissalam ku yaad karte hain)
🟢 Sarah alaihassalam rich family se belong karti thi
Karamath:
➡️ Ibrahim alaihissalam per pehle Emaan lane wale
➡️ Abu huraira raziallahu Anhu se marfu’an marwi hai ke:
Musalmaan me bachche jannat ke ek pahad me hain, Ibrahim alaihissalam aur sarah alaihassalam inki kifalath kar rahe hain, yahan tak ke qayamath ke din wo inhein inke maa baap ku wapas karden.
[ Al silsila – 1439]
➡️ Jab ek Neik Awrath apni izzath ki hifazath karti hai tho Allah uski madad karta hai.
Aap sallallahu alaihissalam ne farmaya:
Ibrahim alaihissalam ne sarah alaihassalam ku saath lekar hijrath ki tho ek aisi basti me pahunche jisme badshaon me se ek badhsha ya zalimon me se ek zalim rehta tha, iss zalim ne Ibrahim alaihissalam ku ye hukm bheja ke Sarah alaihassalam ku iss ke pass bheje, aap ne bhej dia wo zalim inke pass aaya tho Sarah alaihassalam Suzy karke namaz padh rahi thi,
Sarah alaihissalam ne dua ki
اللَّهُمَّ إِنْ كُنْتُ آمَنْتُ بِكَ وَبِرَسُولِكَ ، وَأَحْصَنْتُ فَرْجِي ، إِلَّا عَلَى زَوْجِي فَلاَ تُسَلِّطْ عَلَيَّ الكَافِرَ ،
Aaye Allah! Agar mai tujh per aur tere Rasool per Emaan rakhti hun,aur agar Maine Apne shohar ke siwa apne sharamghah ki hifazath ki hai tho ,thu mujh per kafir ku musallath na kar
Phir aisa hua ke wo kaambakth badhsha achanak karate lene aur gir kar paun hilane laga
[Sahi Bukhari- 2217, 6950,3358,2635]
➡️ Budhape me Aulad
Surah HUD- 69
➡️ Mehman Nawaz thi.
Conclusion:
Awrath ki himmath afzai se log bade bade kaam anjam dete hain (Allah per bharoosa aur tawakkul honi chahiye)
Agar koi zyada karta hai tho Allah dunya me hi uski saza dedeta hai.
Jo koi Ismath o izzath ki hifazath karta hai tho Allah rasta kholta hai (jaise Yousuf alaihissalam).
7 logon ku Arsh ka saya dia jayega unmese ek jo Allah se darte hain.
Amr bin maimoon (R.A) ki hadees (bandar la khissa).
Mohammed sallallahu alaihissalam ki dua :
اللَّهُمَّ إِنِي أَسْأَلُكَ الهُدَى، وَالتُّقَى، وَالعفَافَ، والغنَى
Aye Allah! Mai tujh se Hidayath ka talabgaar hun,taqwa ka talabgaar hun, Paak Damani ka khwahish mand hun ,beniyazi Chahta hun.
[Tirmidhi- 3489]
Na-Mehrim Rishte: ( for women)
Chacha zad (chacha ka beta), Phuphu zad, Khala zad,Mamuzad,Devar(brother in law),Jeth, Behnawi(behan ka shohar),Nandoyi(nanad ka shohar),Phupha, Khalu,Shohar ke Chacha, Mamu, Phupha,Khalu,Batija,Bhanjah.
Ye tamam rishte se parda karni chahiye.
Mehrim Rishta:
Baap,Dada,Nana,Chacha Mamu,Bhai,Beta,Bhatijah,Bhanjah,etc…..
CHECKLIST: MUHASIBAH
Kya kabhi shaithan Burai ka waswase dalta hai❓
Kya paak daman rehne me faker mehsoos hota hai❓
Kya mai mushkil halath me Allah se dua karti hun❓ (Apne Neik aamal ke wasilah se)
Kya mai deen ke liye Apni khwahishath ku Qurban jar sakti hun❓
Agar mera shohar deen daar hai tho iss ke liye mushkilath ka samne karne tayyar hun❓
Kya mai mamu zad, khala zad ,chacha zad, phuphi zad bhaiyon se parda karti hun❓

How useful was this post?

Click on a star to rate it!

Average rating 5 / 5. Vote count: 1

No votes so far! Be the first to rate this post.

Leave a Reply