INTODUCTION OF MY FIRST STEP TOWARD ISLAM

5 PILLARS OF ISLAAM FOR KIDS

Hum jin halaath se guzar rahe hain jis mein School band hain, Madararis band hain, Maktaab band hain, taleem-o-tarbiyath ke zaraye band hain. Maa baap ku bachchon ke waqth zaya hone ki fikr hai, din ba din bachche bad-Akhlaaqi ka muzahara kar rahe hain, maa baap ku bhi samajh me nahi aaraha hai ke bachchon ku kya padhayen, kaise padhayen. Bachchon ke liye likha gaya literature bahuth kam dastiyaab hai isi pasmanzar mein hum ne Angrezi zubaan mein ek kitaab tarteeb di hai “MY FIRST STEP TOWARDS ISLAAM” iss kitab ki chand khusoosiyaath hain,

  1. Bachche Schoolon mein saari kitaben Angrezi mein padhte hain inki maanus kitabi zubaan Angrezi hai isliye Angrezi ka intikhab kiya gaya hai.
  2. Bachchon ki unki umr ke lihaaz se halki halki bathen batana hoga, maslan kitna bhi bada ho unke fehman ke mutabiq masla ku haalka batana padhta hai. Iss kitab me wahi kiya gaya hai.
  3. Bachchon ku koi cheez yaad dilana chahe tho iss mawaad ku sawaal jawaab mein tabdeel karna padhta hai. Aam mazmoon ke mughable mein sawaal jawaab ku badi aasaani se zehen nasheen karte hain isiliye puri kitab sawaal jawaab ke Andaaz mein likhi gayi hai.
  4. Bachchon ku Black and White ke bajaye colorful kitaabein pasand hoti hain, isliye kitaab ku colorful design kiya gaya hai.
  5. Bachchon ku sirf mawaad se dilchaspi baida nahi hoti, balke mawaad ke saath muktalif images aur tasweeron se dilchaspi paida hoti hai, iska pura lihaaz rakha gaya.
  6. Bachchon ke liye ek khass font hota hai jis se bachchon ki ankhon per zoor nahi padhta hai, badi aasani se padhlete hain iska istimaal kiya gaya hai.
  7. Kitab ki deigning mein jin colors ka istimaal kiya gaya hai inku dekhne mein sukoon mehsoos hota hai, Ankhon se rang takrata nahi hai.
  8. Kitab mein ARKAAN-E-ISLAAM yani TAWHEED, NAMAZ, ROZA, ZAKAT, aur HAJJ ku bachchon ki umr ke munasibath se asaan andaaz mein pesh kiya gaya hai.
  9. Iss kitab ku Maa Baap aur Bachchen asaani se padh sakte hain, samajh sakte hain, aur samjha sakte hain.

How useful was this post?

Click on a star to rate it!

Average rating 4.7 / 5. Vote count: 13

No votes so far! Be the first to rate this post.

1 thought on “5 PILLARS OF ISLAAM FOR KIDS

Leave a Reply