Seerate Hajera Alaiha ssalam(Roman Urdu)

Taught by:
SHAYKH NOORUDDEEN UMRI.MA,MPhil.
Lecture 2:
Ibrahim Alaihissalam per pehle Emaan lane wale Awrath thi.
Zam zam ka paani, Sara marwa ki sunnath ek Awrath ki thi.
Ek Awrath ki ah wo zari per wahi Nazil hui.
Ek Awrath deen per jaan qurban kardi.
Mohammed sallallahu alaihissalam per pehle Emaan lane wale ek Awrath thi
Aaj ke iss dars me hum Hajrah alaihassalam ke karamath dekhenge,
Hajrah alaihassalam ke karamath:
Hajrah Alaihassalam :
🟢 Ibrahim alaihissalam ki dusri Biwi (wife).
🟢 Sarah alaihassalam ku hadiya me mili thi.
[Bukhari- 2217]
Sarah alaihassalam ke mashware per Ibrahim alaihissalam ne Hajrah Alaihassalam se nikkah ki thi [ Jab Ibrahim alaihissalam aulad ke liye tadap rahe the aur Allah se duaen kar rahe the tho sarah alaihassalam se raha na gaya iss wajah se]
Karamath
➡️ Ibrahim alaihissalam ke pehli aulad ki Maa.
➡️ Safa Marwa ki sunnath.
[Bukhari- 3365]
➡️ Zam Zam ka paani.
[ Bukhari- 3365]
➡️ Aulad ki behtareen tarbiyath (Ismail alaihissalam ki parwarish)
➡️ Hikmath wali, Sabirah, aur Allah per tawakkul karne wali thi.
Conclusion
Sarah alaihassalam aur hajrah alaihassalam ke waqia se hame ye sabaq milta hai ke kis tarha hame har mamle me Sabr aur hikmath se kaam lena hai.
Agar kisi ki do(2) biwi hain tho pehli biwi ku takleef hogi hi (ye fithrath hai),agar dusri biwi hai tho mushkilath ka samna karna padhta hai.
Aaj ke iss dars se hame ye bhi sabaq milta hai ke kis tarha Hajrah (A.S) ne Allah per tawakkul, bharoosa, Qurbani di,sabr ki aur hikmath se kaam li.issi tarha hame bhi chahiye ke hum bhi har mamle me Allah per tawakkul aur bharoosa rakhte hue sabr aur hikmath se kaam lena hai,issi tarha apne bachchon ke deeni taleem ke liye bade bade qurbani deni hogi (jaise Ismail alaihissalam ki maa aur Imam Bukhari rahimahullah ki maa).
Allah ta’la ka farman hai;
اِنَّهٗ لَـيۡسَ لَهٗ سُلۡطٰنٌ عَلَى الَّذِيۡنَ اٰمَنُوۡا وَعَلٰى رَبِّهِمۡ يَتَوَكَّلُوۡنَ ۞
Iss ka bas aise logon per nahi chalta jo Emaan laye aur Allah per bharoosa (tawakkul) karte hain
Hame chahiye ke hum bhi Allah per Tawakkul karen.
Ibrahim Alaihissalam ki duaen
رَبِّ هَبۡ لِىۡ مِنَ الصّٰلِحِيۡنَ ۞
Aye mere Rabb! Mujhe Neik Baqth aulad aata farma
[Surah Safaath- 100]
رَبَّنَاۤ اِنِّىۡۤ اَسۡكَنۡتُ مِنۡ ذُرِّيَّتِىۡ بِوَادٍ غَيۡرِ ذِىۡ زَرۡعٍ عِنۡدَ بَيۡتِكَ الۡمُحَرَّمِۙ رَبَّنَا لِيُقِيۡمُوۡا الصَّلٰوةَ فَاجۡعَلۡ اَ فۡـئِدَةً مِّنَ النَّاسِ تَهۡوِىۡۤ اِلَيۡهِمۡ وَارۡزُقۡهُمۡ مِّنَ الثَّمَرٰتِ لَعَلَّهُمۡ يَشۡكُرُوۡنَ ۞
Aye mere Rabb ! Maine apni kuch aulad ku tere hurmath wale ghar ke pass ek aisi wadi me la basaya hai jisme koi kehthi nahi hoti, Aye hamare Rabb ! (Ye maine iss liye kiya) taa ke ye log Namaz Qayam kare lihaza logon ke dilon me inke liye kashish paida kar de, aur inku phalon ka rizq aata farma taake wo shukr guzaar bane.
[ Surah Ibrahim- 37]
رَبَّنَاۤ اِنَّكَ تَعۡلَمُ مَا نُخۡفِىۡ وَمَا نُعۡلِنُ ؕ وَمَا يَخۡفٰى عَلَى اللّٰهِ مِنۡ شَىۡءٍ فِى الۡاَرۡضِ وَلَا فِى السَّمَآءِ ۞
Aye hamare Rabb ! Hum jo kuch chupate hain ya zaher karte hain,tu sab kuch janta hai, zameen-o-Aasman me koi cheez aisi nahi jo Allah se chupi hui ho.
[Surah Ibrahim- 38]
اَلۡحَمۡدُ لِلّٰهِ الَّذِىۡ وَهَبَ لِىۡ عَلَى الۡـكِبَرِ اِسۡمٰعِيۡلَ وَاِسۡحٰقَؕ اِنَّ رَبِّىۡ لَسَمِيۡعُ الدُّعَآءِ ۞
Iss Allah ka shukr hai jisne mujhe budhape me Ismail (A.S) aur ishaq (A.S) aata kiye. Beshak mera Rabb dua sunta hai.
[Surah Ibrahim- 39]
رَبِّ اجۡعَلۡنِىۡ مُقِيۡمَ الصَّلٰوةِ وَمِنۡ ذُرِّيَّتِىۡ ۖ رَبَّنَا وَتَقَبَّلۡ دُعَآءِ ۞
Aye mere Rabb! Mujhe bhi meri Aulad ku bhi Namaz Qayam rakhne wala bana Aye hamare Rabb! Meri ye dua qubool farma.
[ Surah Ibrahim- 40]
رَبَّنَا اغۡفِرۡ لِىۡ وَلـِوَالِدَىَّ وَلِلۡمُؤۡمِنِيۡنَ يَوۡمَ يَقُوۡمُ الۡحِسَابُ ۞
Aye hamare Rabb! Mujhe, mere walidain,aur jumla momino ku iss din ma’af farma jab hisab liya jayega.
[Surah Ibrahim- 41]
CHECKLIST: Muhasibah
Kya Allah per mera aatoot bharoosa hai❓
Kabhi ghar me tangi hoti hai tho sabr karsakti hun❓
Kabhi shohar kamane durr jate hain tho bachchon ki tarbiyath kar sakti hun ❓
Kya mujhe pata hai ke ek bachche ku 7 saal ki umr tak kya kya seekhana hai❓
Kya mai apne bachchon ke Deen ki fikr karti hun❓
Kya mere bachche mere shohar ki baathen mante hain❓
Kya mujhe kabhi khandani pasmandi ka ehsaas hota hai❓
Kya mere ander qurbani ka jazba hai❓
Kya mai Allah ku razi karne ke liye apne aaram ku qurban kar sakti hun❓
Kya mere bachchon aur bhahoun me Qur’an se mohabbath hai❓
Kya hamare abbu, bhai, shohar ki kamai Halal hai❓