Qurbani ke Swaal jawab Sirf 1 line me (Roman Urdu)

Qurbani ke Swaal jawab Sirf 1 line me
By Nooruddin Umeri
1 Qurbani kab se chali Arahi hai?
Ans:Qurbani Hazarate Aadam ke Zamane se Chale Arahi hai.
2 Qurbani kis ki Sunnat hai?
Ans: Qurbani Hazrate Ibraheem ki Sunnat hai.
3 Qurbani kis ke liye hona chahiye?
Ans: Qurbani Allah ke liye Hona chahiye.
4 Qurbani ka Maqsad kya hai?
Ans: Qurbani ka Maqsad Allah ka Taqwa Hasil karna hai?
5 Qurbani ke kitne din hin?
Ans: Qurbani ke kul 4 Din hin.10,11,12,13 Zulhijja.
6 Qurbani ka Janwar kaisa hona chahiye?
Ans: Qurbani ka janwar mota Taza aur Aib se Pak hona cahiye.
7 Qurbani ke Janwar ki age kya hona chahiye?
Ans: Ount ki Umar 5 saal,Bail ki Umar 2 saal Bakre ki Umar 1 saal hona chahiye.
8 Sahaba ki Qurbani kaise hoti thi?
Ans: Sahaba ki Qurbani Ikhlas ke sath hoti thi.
9 Kya Marhoomeen ki Taraf se Qurbani Ho sakti hai?
Ans: Agar Marhoom wasiat kiye hun to kar skate, aur Apni Qurbani me un ko bhi shamil kar sakte hin ,likn un ke naam par mustqil Qurbani nahi Kar sakte.
10 kya ek se Zayad Qurbani kar sakte hin?
Ans: Han Akr skate hin?
11 kya ek Gahr ki Taraf se Ek Qurbani Kar sakte hin?
Ans: han ek Ghar ki Taraf se ek Qurbani kar sakte hin.
12 kya Qarza Le kar Qurbani kar sakte hin?
Ans: han Qarza Wapis karne ke Source maujood hin to kar sakte hin.
13 kya Qurbani ke gosht ke 3 Hisse karna farz hai?
Ans: 3 Hissa karna acha hai likin Farz nahi hai.
14 Agar koi Qurbani ka janwar Badalna chahe to ?
Ans: Agar us se Behatar Janwar lana chahen to Badal sakte hin.
15 kya Khasi karda Janwar ki Qurbani Ho Sakti hai?
Ans: Ji han Khasi Karda janwar ki Qurbani karna sunnat hai.
16 Qurbani ka janwar Khareedne ke bad Aib Paida ho to?
Ans: Agar Khareedne ke baad Aib paida ho to Qurbani ki jaskti hia.
17 kya aurat janwar Zabah Kar sakti hia?
Ans: Ji Han Aurat Qurbani ka Janwar Zabah Kar sakti hai.
18 Kya Ead ke din Qurbani ke Gosht se Khane ka Aghaz karna hai?
Ans: Agar Ead ke Din Qurbani ke Gosht se khane ka Aghaz karna sunnat hai.
19 kya Qurbani ke janwar ka koi Hissa khana makrooh hai?
Ans: Qurbani ke janwar ka koi Hissa khana Makrooh nahi hai.
20 Ead ke din Eadgah ko kaise jaen?
Ans: Eid ke din Eadgah kuch khaye piye Baghair jana sunnat hai.
21 kya Qurbani ka chamda Sadqa karna hai?
Ans: ji han Qurbani ka Chamda Sadaqa kare ya khud istemal ke liye Rakh sakta hai,likin bechana jaiz nai hai.
22 kya Qurbani ke jawar ko Zabah karte waqt pani pilana hai?
Ans: Zabah se pahele pani pilana sunnat hai.
23 Agar Qurbani ka janwar Qurbani se Pahele mar jaye to?
Ans: Agar Qurbani se pahele mar jaye to Qurbani ka sawab milega in shallah.
24 kya Qurbani ke janwar ko sawaar kar gali me ghumana chahiye ?
Ans: Ye Tareeqa sahi nahi hai.
25 kya Qurbani se pahele Apna Aqeeqa hona chahiye?
Ans: Aqeeqa ka Qurbani se koi Talluq nahi hai.
26 kya Qurbani ke bajaye us ki Raqam Sadaqa karen to Qurbani hogi?
Ans: Nahi, Qurbani ki Raqam Sadaqa karne se Qurbani nahi hogi.
27kya Qurbani ke Bajaye kisi Mareez ki jaan bachana ho to Raqam de sakte hin?
Ans: Han De Sakte hin.kiun ke Ek musalman ki jaan Qurbani se Badh kar hai.
28 kya kisi aur city me Qurbani ki ja sakti hai?
Ans: Ji han ki ja sakti hai.
29 kya Ghair Muslim ko Qurbni ka gosht de sakte hin?
Ans: ji han de sakte hin.
30 kya bakari ki Qurbani jaiz hai?
Ans Ji han Bakari ki Qurbani bhi jaiz hai.likn Nabi ne hamesha Bakrun ki hai.