Qarz ke Adaigi ki Dua (Roman Urdu)

Qarz ke Adaigi ki Dua

Jin Halat se Ham log Guzar rahe hin us me logun ki maashi halat kamzor hote jarahi hai.log Apani Zarooriat poori nahi Kar parahe hin,is liye Qarz lena padh Raha hai.likin Qarz ke Bare me Ek bath yaad Rakhen pyare Nabi ka farman hai agar koi Qarz lene se pahele Adaa  karne ka pakka irada rakhta hai to Allah us ke Adaigi ke Raste Paida karta hai,agar koi Lene se Pahele Wapasi ki Fakar nahi karta ya Len eke Baad wapasi ki Fikar nahi karta hai to Allah  Qarza Laotane ke rastun ko band kar deta hai.

Agar koi Qarz rakh kar Mar jaye to Jab Tak qarza Ada na kiya jaye us ki Maghfirat Bhi Nahi Hoti hai.

Is liye Qarza Lene se Pahele hi wapasi ka Pakka Irada akr le,intehaahi Zaroori ho to hi Qara le,jitna ho sake Kam se kam Qarza le.

Qarza Ada karne ke liye Dua bhi karta Rahe.

اللَّهُمَّ اكْفِنِي بِحَلَالِكَ عَنْ حَرَامِكَ، وَأَغْنِنِي بِفَضْلِكَ عَمَّنْ سِوَاكَ

Allahumma Akfini Bi Halalik An Haramik wa Aghnini Bifazlik Amman siwaak.

Aye Allah Haram se bachate huye mujhe Tere halal Maal se Kifayat fama,aur apne Fazal se Doosarun se Beniyaz Farma.

Agar is Dua ko padhte Rahenge to Allah Qarza Lautane ka intezam farmayega. Insha Allah.

How useful was this post?

Click on a star to rate it!

Average rating 4.2 / 5. Vote count: 5

No votes so far! Be the first to rate this post.

2 thoughts on “Qarz ke Adaigi ki Dua (Roman Urdu)

  1. Allah Apko Aise He Duaeein Hum Tak pahochane Ki Hidayat De.Aur Allah Apki zindagi Khushiyun se bhar de.Aameen

Leave a Reply