Musa alaihissalam ki Maa aur Aasia alaihassalam(Roman Urdu)

Taught by:
SHAYKH NOORUDDEEN UMRI HAFIZAHULLAH
Lecture 4:
Mohammed sallallahu alaihiwasallam ne farmaya Awrathon per Aisha raziallahu anha ki fazilath aisi hai jaise tamaam khano per thareed ki,mardon me tho bahuth se kamil ho nikle hain laikin Awrathon me Mariam binte Imran alaihassalam aur Firaun ki Biwi (Aasia alaihassalam) ke siwa aur koi kamil paida nahi hui.
[Bukhari- 3433]
Aaj ke iss dars me hum Musa alaihissalam ki Maa aur Aasia alaihassalam ke waqiath ku dekhenge
Musa alaihissalam- Bani Israel (khandan)
Firaun- Qibati (Khandan)
Musa alaihissalam ke walidah ki Karamath
➡️ Ilham, Allah ki taraf se
[Surah Qasas – 7, 8]
➡️ kudh ke bachche ku dhood peelane per muawiza.
[Surah Qasas- 12]
➡️ Allah per mazbooth bharoosa
Sara waqia surah Qasas aayath number 9 se 11 tak bayan hai.
Aasia binte Muzahim alaihassalam:
Aasia alaihassalam ke Walid kisaan the.aur ye bahuth khubsoorath thi iss liye Firaun ne zabardasti
nikah kiya tha.
Karamath:
➡️ Musa alaihissalam ku beta banaliye the.
[Surah Qasas- 9]
➡️ Asia alaihassalam ke kehne per Musa alaihissalam ku qatal nahi kiya.
➡️ Allah unki dua qubool ki aur dunya me hi unku jannath dikhai.
➡️Zalim badhsha aur shohar ke zulm per sabr ki.[mekh maar kar unku saza di].(Surah tahreem- 11)
Conclusion
In waqia se hame ye sabaq milta hai ke, Allah kis tarha apne neik Bandon ku Aazmatha hai aur kis tarha hame Aazmaish me sabr hikmath aur Allah per bharoosa rakh kar kaam lena hai.
Aur ye bhi maloom hota hai ke biwi apne shohar ku khair ki taraf tawajju deti rahe, (umme darda raziallahu anha ka Baagh ku Allah ki raah me sadqa ka waqia, umme sulaim aur abu talha raziallahu Anhuma ka nikkah ka waqia)
sabr aur maaf ka jazba apne ander paida kare. Kabhi bhi takkabboor, ghuroor aur na shukri nahi karni chahiye.
Har haal me Allah per bharoosa, dua aur shukr ada karte rehni chahiye.
Lepaalak Aulad:
🟢 Haqeeqi beta nahi hoga.
🟢 Asli baap ka naam hi dea jaega.
🟢 Waris nahi hoga (wirasath me hissa nahi nilega).
Aasia Alaihassalam ki Dua:
رَبِّ ابۡنِ لِىۡ عِنۡدَكَ بَيۡتًا فِى الۡجَـنَّةِ وَنَجِّنِىۡ مِنۡ فِرۡعَوۡنَ وَعَمَلِهٖ وَنَجِّنِىۡ مِنَ الۡقَوۡمِ الظّٰلِمِيۡنَۙ ۞
Aye mere Rabb! Mere liye apne pass jannath me ek ghar bana de, mujhe Firaun uske Amal se nijath de aur mujhe zalim logon se bhi nijath ata farma.
[Surah Tahreem- 11]
Jazakh Allahu khair. Your articles in roman english has made it very easy to be read.
Very well written with the quotes from the Qur’an. Very very useful to increase our knowledge in depth. Very interesting. Jazakh Allahu khair wa ahsanul jaza.
Barkallahu feekum