Mashitha binte Firaun (Roman Urdu)

Taught by:
SHAYKH NOORUDDEEN UMRI HAFIZAHULLAH
Lecture 3:
Aaj ke iss dars me ek aisi Awrath ke karamath ku dekhenge jiske mehel ki khushboo Mohammed sallallahu alaihiwasallam ku meraj ki raath sunghayi gayi thi.

Mashitha binte Firaun :
Mashitha ka matlab hai Kangi karne wale yane laundi.
Mashitha binte Firaun ka matlab ye hua ke Firaun ki beti ku kangi karne wali
Quran me waqia se hame ye milta hai ke Firaun be-aulad tha iss liye Aasia ne Musa alaihissalam ku ghod li thi ye waqia Musa alaihissalam ku ghod lene ke badh ka hai.

Karamath
➡️ Meraj ki Raath Jibrael alaihissalam ne Mohammed sallallahu alaihiwasallam ku kudh ye waqia bathaye.
[Musnad Ahmed- 1/309, Thibrani- 12280, Ibne Hibban-2903, Hakim-2/496]
➡️ Aap sallallahu alaihiwasallam ne Mashitha binte Firaun aur uske 5 chote bachchon ke mehel ki khushboo soonghe the.
[Musnad Ahmed- 1/309, Thibrani- 12280, Ibne Hibban-2903, Hakim-2/496]
➡️ Ghod ka bachcha bath kiya.
[Musnad Ahmed- 1/309, Thibrani- 12280, Ibne Hibban-2903, Hakim-2/496]
Bahuth se log aise hain jo zameen me ghum naam aur aasman me mashoor hain
Conclusion
Ye sara waqia se hame ye sabaq milta hai ke kis tarha hame har Aazmaish me sabr karni hai aur deen ki khatir apna sab kuch Qurban karni hai.
Jaan ka katra hai tho sirf zubaan se kufr ada kar sakte hai magar Azmath ka pehloo hai ke jaan jaye tho jaa sakti hai magar kufr nahi.(Mashitha aur sumaiya (RA) ka waqia ).
Kistarha ek laundi apne chote chote masoom bachchon ku Qurban jar sakti hai magar Emaan nahi, hame bhi apne Emaan ki hifazath karni hai.
Dua karte rehna hai ke dunya me bhi Emaan se rakh aur maut bhi kalma (Emaan wali maut) de.

Allah aise kyun Aazmatha hai❓
Ibne thaymyyah rahimahullah farmate hain ke Jannath ki nimathon ki lazzath ku badhane ke liye.
Shaykh Nooruddeen umri hafizahullah ne hame bahuth achche aur behtareen example diye (Jaise ek aadmi ku biryani ki lazzath aur dusra example Aloo,chae ki Patti, aur egg ka kaise Aazmaish insaan ku badaldeti hai).
Allah kis kis ku aur kis tarha Aazmatha hai ye surah Ankabooth ki aayath number 2 aur 3 me zikr hai.

CHECKLIST: Muhasibah
Kya mai deen ke liye apna aaram qurban kar sakti hun❓
Kya mai deen ke liye apne bachchon ku deeni taleem dila sakti hun❓
Kya mai deen ke liye apna maal ki qurbani de sakti hun❓
Kya mai apna Emaan ku taza karne ke liye fajr se pehle utt sakti hun❓
Kya mai jannath ke liye Tahjuth utt sakti hun❓
Kya mai Allah ku khush karne ke liye apni aana ku chod kar apne rishte daar ke saath Husne sulook kar sakti hun❓

How useful was this post?

Click on a star to rate it!

Average rating 4.2 / 5. Vote count: 6

No votes so far! Be the first to rate this post.

Leave a Reply