Mariam alaihassalam ki walidah (Roman Urdu)

Taught by:
SHAYKH NOORUDDEEN UMRI HAFIZAHULLAH
Lecture 5:
Mohammed sallallahu alaihiwasallam ne farmaya Awrathon per Aisha raziallahu anha ki fazilath aisi hai jaise tamaam khano per thareed ki,mardon me tho bahuth se kamil ho nikle hain laikin Awrathon me Mariam binte Imran alaihassalam aur Firaun ki Biwi (Aasia alaihassalam) ke siwa aur koi kamil paida nahi hui.
[Bukhari- 3433]
Mohammed sallallahu alaihiwasallam ne farmaya; (apne zamane me) Mariam binte Imran alaihassalam sab se afzal thi aur iss ummath me Khatija raziallahu anha Sab se Afzal hain
[Bukhari- 3433]
Mariam alaihassalam ki walidah:
Mariam alaihassalam ki walid: Imran alaihissalam
Walidah : Hannah
Hannah ye Arabic word hai.
Hasanah urdu me magar Arabic naam afzal hai.
Bhai: Haroon
🟢 Hannah ne aulad ki tamanna ki(chidiya ke ghusla me chidiya apne bachchon ku dana khila rahi thi ye dekh kar).
🟢 Hannah ne Allah se aulad ki dua ki aur mannath mangi thi ke Allah ki raah me chod denge.
Surah Aal I Imran-35.
Mariam Alaihassalam ke Karamath:
➡️ Quran me ek Surah ka naam Mariam hai.
➡️ Quran me sirf mariam alaihassalam ka naam hai(kisi aur khatoon ka nahi).
➡️ zakariya alaihissalam (khalu-uncle) ki kifalath me masjid e Aqsa me thi.
➡️ Be-mosam phal,Allah ne khilaya.
Surah Aal I Imran-37
➡️ Bina shohar ke Aulad.
➡️ Na bolne ka roza.
➡️ Akeli dard e zeh sahi.
Sara waqia surah Aal I imram 33 se 36 tak aur surah Mariam me zikr hai.
➡️ jo bhi bachcha paida hota hai tho paidaish ke waqt shaithan iss ku chuta hai jiski wajah se bachche chikhte hai magar Mariam alaihassalam aur Isa alaihissalam ku nahi chua.
[Al silsila 1978]
Conclusion
Aaj ke iss dars se hame bahuth sare sabaq milta hain ke kistarha hannah ne apne Aulad ku Allah ki rah me chod diye aur Mariam alaihassalam kis tarha strong thi aur kis tarha mazbooth Emaan wali thi.
Hame bhi apni Aulad ku deen ki qidmath ke liye ready karni chahiye aur kudh ku mazbooth aur mehnathi banane ki zaroorath hai.
Agar mamla sanjitha hai tho khamushi ka pehlo apnane ki zaroorath hai.
Umme sulaim raziallahu anha ne apne bete (Anas raziallahu Anhu) Mohammed sallallahu alaihiwasallam ki aur deen ki qidmath ke liye chod di thi.
Aap sallallahu alaihiwasallam ne Anas raziallahu Anhu ku dua di thi;
اللَّهُمَّ أَكْثِرْ مَالَهُ وَوَلَدَهُ ، وَبَارِكْ لَهُ فِيمَا أَعْطَيْتَهُ
Aye Allah! Iss ke maal aur Aulad ku zyada kar aur jo kuch Thune isse diya hai isme barkat aata farma.
Bukhari- 6334
Hannah ummeMariam Alaihassalam ki Dua:
رَبِّ اِنِّىۡ نَذَرۡتُ لَـكَ مَا فِىۡ بَطۡنِىۡ مُحَرَّرًا فَتَقَبَّلۡ مِنِّىۡ ۚ اِنَّكَ اَنۡتَ السَّمِيۡعُ الۡعَلِيۡمُ ۞
Aye Allah Maine nazar mani hai ke mere pait me jo bachcha hai mai usse har kaam se aazad kar ke tere liye waqf karungi, meri iss nazar ku qubool farma. Beshak tu sunne wala hai, har cheez ka ilm rakhta hai
[Surah Aal I Imran- 35]
وَاِنِّىۡۤ اُعِيۡذُهَا بِكَ وَذُرِّيَّتَهَا مِنَ الشَّيۡطٰنِ الرَّجِيۡمِ ۞
Iss ku (Mariam alaihassalam) aur iske Aulad ku shaithan se teri panah me deti hun.
[Surah Aal I Imran – 36].
CHECKLIST: Muhasibah
Kya maine ab tak apni zindagi me kuch bhi Allah ke deen ke liye waqf kiya hai❓
Kya mai Mariam alaihassalam ki tarha banna chahti hun(strong, mehnathi,mazbooth Emaan wali etc…)❓