Aisha Siddiqua Raziallahu anha(Roman Urdu)

Taught by:
SHAYKH NOORUDDEEN UMRI HAFIZAHULLAH
Lecture 6:
Mohammed sallallahu alaihiwasallam ne farmaya Awrathon per Aisha raziallahu anha ki fazilath aisi hai jaise tamaam khano per thareed ki,mardon me tho bahuth se kamil ho nikle hain laikin Awrathon me Mariam binte Imran alaihassalam aur Firaun ki Biwi (Aasia alaihassalam) ke siwa aur koi kamil paida nahi hui.
[Bukhari- 3433].
Aaj ke iss dars me hum Aap sallallahu alaihiwasallam ki ek chahithi Biwi (Aisha raziallahu anha ) ki zindagi ku dekhenge.
Aisha Siddiqua Raziallahu anha:
Naam: Ayisha
Walid: Abdullah (abu bakr Siddique raziallahu Anhu)
Walidah: Umme Roman raziallahu anha
Bhai: Abdurrahman raziallahu Anhu
Behen: Asma raziallahu anha
Paidaish: Nabuwath me 4th saal makkah me hui
Pasandidah khel: Ghudiya aur jhula
Nikkah: 6 saal ki umar me Mohammed sallallahu alaihiwasallam se hui
Ruqsathi: 9 saal ki umar me Madeena me hui
Laundi: Bareerah raziallahu anha
Paigham e Nikkah: Khaula binte Hakeem raziallahu anha
Mehr : 500 dhirham
Ghar: 6 haath chauda aur 7 haath lamba aur chath khajoor la tana
Married life: 9 saal (jab 18 saal ki hui tho aap sallallahu alaihiwasallam ka intiqal hogaya)
Bewa ki zindagi : logon ku deen ki taleem, hadees padhna, deeni Masle samjhana etc…
Dunya se ruqsathi: Muawiya raziallahu Anhu ke daur e khilafath me 17 saal tak ba hayath rahi. 17 Ramadan ku hua
Janaze ki Namaz : Abu Huraira raziallahu Anhu ne padhae.
Aisha raziallahu anha per tahmath
🟢 Ye waqia parde ke hukm hone ke badh ka hai.
🟢 Jab Aisha raziallahu anha ka haar ghum hojata aur wo talash ke liye nikli tho pura qafila nikal jata hai aur Aisha raziallahu anha wahi reh jati thi, us ke badh Saffan bin Mu’til salami raziallahu Anhu ku zimmedaari di gayi thi ke jo bhi chot jata tho wo wapas lejate the jab Aisha raziallahu anha ku dekha tho
إنا لله وانا إلى راجعون
Padhe aur Aisha raziallahu anha ku wapas legaye ye dopaher ke waqth ka (Ramadan) waqia tha, ye dekh kar Abdullah bin ubai ibne salool (jo munafiq ka sardar tha) usne aap raziallahu anha per thohmath lagai.uske Badh Allah ne barath ki aayath Nazil ki.
Ye sara waqia Bukhari- 4141 me maujood hai.
Aisha raziallahu anha ke 9 khususiyath
➡️ shadi se pehle Aap sallallahu alaihiwasallam ne khwaab (dream) me dekhe.
➡️ Kuwari.
➡️ Aap sallallahu. alaihiwasallam ka akhiri waqt aap raziallahu Anha ki ghod me tha.
➡️ Aap sallallahu alaihiwasallam aap raziallahu anha ke hujre me mathfoom hain
➡️ Aisha raziallahu anha ke hujre me Jibrael alaihissalam wahi late the.
➡️ Aap raziallahu anha ki Barath ke liye wahi Nazil hui(Surah Noor – 11 to 20)
➡️ Pehle Khalifah ki beti
➡️ Ummul Momineen (apne baap ke liye bhi).
➡️ Maqfirath aur Rizq e halal ke liye Allah ne WADA kiya hai.
Conclusion
Aaj ke iss dars se hame ye sabaq milta hai ke hum bhi deeni taleem hasil karne, amal karne aur dusron tak pahuchane ka jazba honi chahiye, aur hame ye sabaq bhi milta hai ke kis tarha wo azeem khatoon chote se hujre me zindagi guzaar rahi thi aur kabhi shikayath bhi nahi ki hame bhi Har haal me khush aur shukr ada karte rehna chahiye.
Deeni kaam ke liye ke kudh ku surf kar dena chahiye.
CHECKLIST: Muhasibah
Kya mai Aisha raziallahu anha ki tarha banna chahti hun❓
Kya mere ander Aisha raziallahu anha ke jaisa ilm hasil karne, amal karne aur dusron tak pahunche ka jazba hai❓
Kya mai har haal me sabr aur shukr guzaari karne ka jazba hai❓
Ye last dars hai Allah se dua hai ke Allah hum sab ku sunne se zyada Amal ki taufeeq ata kare
Last but not the least Allah shaykh Nooruddeen umri hafizahullah ke umar me maal me ilm me barakaath de aese hi Allah shaykh e mohtaram se deen ke kaam letha rahe Allah Shaykh e Mohtarm ku seheth aur Emaan wali zindagi aata kare
جَزَكُمُ اللهُ خَيْرًا فٍي الدُّنيأوالآخيرا