10 years Tak Bachun ko 10 Baten sikha Den.(Roman Urdu)

10 years Tak Bachun ko 10 Baten sikha Den.
1Izzat dena sikhayen.
Apne Bachun ko sikhayen beta Duniya me Har ek ko Izzat dena hoga.agar Ap Doosarun ko Izzat denge to log bhi Aap ko Izzat denge.
2 Ghalati Hone Par Ghabrana Nahi Chahiye.
Apne Bachun ko sikhyaen ke Har Aadmi se Ghalati hoti hai.ache log o hin jo Ghalti hone par ghabrate nahi balke apni Ghalati ki islah kar lete hin.
3 Qabiliat Aham hai Marks Aham nahi.
Apne Bachun ko sikhayen ke zindagi me marks Kaam Ane wale nahi hin balke Qabialiat Kaam Aati hi.is liye Marks ki Fikar na Karne balke Qabiliat Paida karen.
4 Ache Bachun se hi Dosti karen.
Apne Bachun ko sikhayen ke ache Bachun ko Dost Banayen kiun ke ache dost ke sath rahoge to ache Banoge aur burun ke sath rahoge to Bure banoge.
5 Bachun ko khul kar Bolne den.
Apne Bachun ko sikhayen ke jab bhi koi Masala ho to chupa kar nai baithe Balke khul kar bolen,kiun ke maslun ko chupane se aur badh jata hai agar bolenge to us ka Hal nikal sakta hai.
6 Doosrun ka dekha dekhi na karen.
Apne bachun ko sikhayen ke koi bhi kaam os liye Nahi karna hai ke Ap ke dost ne kiya hia ya koi rishte daar ne kiya hai Balke ye dekhna hai us ki Salahiat hai ya nahi,ya aap ka passion hai ya nahi.
7 Sawal karna chahiye
Apne bachun ko sikhayen ke kisi bhi kam me sawal karna chahiye.kiun ke sawal karne se hi ziayada clarity milti hai.
8 Jaan Hai to jahan hai.
Apne bachun ko apni Jaan ki Hifazat karana hai kiun ke agar zianda hin to kuch bhi kar skate hin agar zindagi kho denge to kuch nahi kar sakte.
9 Inkar bhi karna sikhayen.
Zindagi me har bath par yes nahi bolna hai balke agar koi kaam Ap nahi kar skate ya Aap ke liye mumkin nahi hai to inkaar bhi akr dena chahiye,sirf han kah kar kaam na karna sahi nahi hai.
10 Ghalati Tasleem karna sikhayen.
Apne bachun ko sikhayen ke har insan se ghalati hoti hai.Ghalati karne ke bad apni ghalati ka inkar karna ya mukar jana bahut badi ghalati hai.
Ye choti choti baten hin Bachpan hi se sikha den to phir hamesha bache sharmindagi se Nakami se,badnami se,Ehsaase akm tari se bach sakte hin.inshallah.